ye kis maqām pe laayā gayā ḳhudāyā mujhe
ki aaj rauñd ke guzrā hai merā saaya mujhe
maiñ jaise vaqt ke hāthoñ meñ ik ḳhazāna thā
kisī ne kho diyā mujh ko kisī ne paayā mujhe
na jaane kaun huuñ kis lamha-e-talab meñ huuñ
'nabīl' chain se jiinā kabhī na aayā mujhe
maiñ ek lamha thā aur niiñd ke hisār meñ thā
phir ek roz kisī ḳhvāb ne jagāyā mujhe
usī zamīñ ne sitāra kiyā hai merā vajūd
samajh rahe haiñ zamīñ vaale kyuuñ parāyā mujhe
jahāñ ki sadiyoñ kī ḳhāmoshiyāñ sulagtī haiñ
kisī ḳhayāl kī vahshat ne gungunāyā mujhe
ik aarzū ke ta.āqub meñ yuuñ huā hai 'nabīl'
havā ne ret kī palkoñ pe lā biThāyā mujhe