maiñ apne gird lakīreñ bichhā.e baiThā huuñ
sarā.e-dard meñ Derā jamā.e baiThā huuñ
'nabīl' ret meñ sikke talāsh karte hue
maiñ apnī puurī javānī gañvā.e baiThā huuñ
ye shahr kyā hai nikaltā nahīñ koī ghar se
ka.ī dinoñ se tamāsha lagā.e baiThā huuñ
jo log dard ke gāhak haiñ sāmne aa.eñ
har ek ghaav se parda uThā.e baiThā huuñ
bahut talab thī mujhe raushnī meñ aane kī
so yuuñ huā hai ki āñkheñ jalā.e baiThā huuñ
ye dekho chāñd, vo sūraj, vo us taraf taare
ik āsmān zamīñ par sajā.e baiThā huuñ
na jaane kaun sā aalam hai ye azīz-'nabīl'
maiñ regzār meñ kashtī banā.e baiThā huuñ