Aziz Nabeel

parinde jhil par ek rabt-e-ruhani mein aae hain

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
parinde jhiil par ik rabt-e-rūhānī meñ aa.e haiñ
kisī bichhḌe hue mausam kī hairānī meñ aa.e haiñ
musalsal dhund halkī raushnī bhīge hue manzar
ye kin barsī huī ā.ankhoñ kī nigrānī meñ aa.e haiñ
ka.ī sāhil yahāñ Duube haiñ aur girdāb TuuTe haiñ
ka.ī tūfān is Thahre hue paanī meñ aa.e haiñ
maiñ jin lamhoñ ke saa.e meñ tumhāre paas pahuñchā huuñ
vo lamhe sajda ban kar merī peshānī meñ aa.e haiñ
nazar bhar kar use dekho to yuuñ mahsūs hotā hai
hazāroñ rañg ik chehre kī tābānī meñ aa.e haiñ
Top Urdushayar.com