Aziz Nabeel

sar-e-sahra-e-jaan hum chaak-damani bhi karte hain

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
sar-e-sahrā-e-jāñ ham chāk-dāmānī bhī karte haiñ
zarūrat aa paḌe to ret ko paanī bhī karte haiñ
kabhī dariyā uThā laate haiñ apnī TuuTī kashtī meñ
kabhī ik qatra-e-shabnam se tuġhyānī bhī karte haiñ
kabhī aisā ki ā.ankhoñ meñ nahīñ rakhte haiñ koī ḳhvāb
kabhī yuuñ hai ki ḳhvāboñ kī farāvānī bhī karte haiñ
hamesha aap kā har hukm sar ā.ankhoñ pe rakhte haiñ
magar ye yaad rakhiyegā ki man-mānī bhī karte haiñ
miyāñ tum dost ban kar jo hamāre saath karte ho
vahī sab kuchh hamāre dushman-e-jānī bhī karte haiñ
ye kyā qātil haiñ, pahle qatl karte haiñ mohabbat kā
phir us ke ba.ad iz.hār-e-pashemānī bhī karte haiñ
tujhe ta.amīr kar lenā to ik āsān sā fan hai
rifāqat ke mahal! ham terī darbānī bhī karte haiñ
Top Urdushayar.com