dasht-o-sahrā meñ samundar meñ safar hai merā
rañg phailā huā tā-hadd-e-nazar hai merā
nahīñ ma.alūm, use us kī ḳhabar hai ki nahīñ
vo kisī aur kā chehra hai, magar hai merā
tū ne is baar to bas maar hī Daalā thā mujhe
maiñ huuñ zinda to mirī jaan hunar hai merā
aaj tak apnī hī tardīd kiye jaatā huuñ
aaj tak mere ḳhad-o-ḳhāl meñ Dar hai merā
bāġhbāñ aisā ki miTTī meñ milā baiThā huuñ
shāḳh-dar-shāḳh daraḳhtoñ pe asar hai merā
shā.erī, ishq, ġham-e-rizq, kitābeñ, ghar-bār
ka.ī samtoñ meñ ba-yak-vaqt guzar hai merā