Aziz Nabeel

subh aur sham ke sab rang haTae hue hain

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
sub.h aur shaam ke sab rañg haTā.e hue haiñ
apnī āvāz ko tasvīr banā.e hue haiñ
ab hameñ chaak pe rakh yā ḳhas-o-ḳhāshāk samajh
kūza-gar ham tirī āvāz pe aa.e hue haiñ
ham nahīñ itne tahī-chashm ki ro bhī na sakeñ
chand aañsū abhī āñkhoñ meñ bachā.e hue haiñ
ham ne ḳhud apnī adālat se sazā paa.ī hai
zaḳhm jitne bhī haiñ apne hī kamā.e hue haiñ
ai ḳhudā bhej de ummīd kī ik taaza kiran
ham sar-e-dast-e-duā haath uThā.e hue haiñ
har nayā lamha hameñ rauñd ke jaatā hai ki ham
apnī muTThī meñ gayā vaqt chhupā.e hue haiñ
ek muddat huī tum aa.e na paiġhām koī
phir bhī kuchh yuuñ hai ki ham aas lagā.e hue haiñ
Top Urdushayar.com