ye kis vahshat-zada lamhe meñ dāḳhil ho ga.e haiñ
ham apne aap ke madd-e-muqābil ho ga.e haiñ
ka.ī chehre mirī sochoñ se zaa.il ho ga.e haiñ
ka.ī lahje mire lahje meñ shāmil ho ga.e haiñ
ḳhudā ke naam se tūfān meñ kashtī utārī
bhañvar jitne samundar meñ the, sāhil ho ga.e haiñ
vo kuchh pal jin kī ThanDī chhāñv meñ tum ho hamāre
vahī kuchh pal to jīvan bhar kā hāsil ho ga.e haiñ
ulajhte jā rahe haiñ justujū ke par musalsal
zamīñ-tā-āsmāñ kitne masā.il ho ga.e haiñ!
'nabīl' āvāz bhī apnī kahāñ thī muddatoñ se
jo tum aa.e to ham yak-laḳht mahfil ho ga.e haiñ