Aziz Nabeel

mera sawal hai ai qatilan-e-shab tum se

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
mirā savāl hai ai qātilān-e-shab tum se
ki ye zamīn munavvar huī hai kab tum se
charāġh baḳhshe ga.e shahr-e-be-basārat ko
ye kār-e-ḳhair bhī sarzad huā ajab tum se
vo ek ishq jo, ab tak hai tishna-e-takmīl
vo ek daaġh jo raushan hai roz-o-shab tum se
mirī numūd meñ vahshat hai, merī soch meñ shor
bahut alag hai mirī zindagī kā Dhab tum se
mire ḳhitāb kī shiddat pe chīḳhne vaalo
tumhāre lahje meñ goyā huā huuñ ab tum se
shikasta rishtoñ kī hāthoñ meñ Dor thāme hue
maiñ pūchhtā huuñ mire dosto sabab tum se
tumhāre naam kī tohmat hai mere sar pe 'nabīl'
judā hai varna mirā shajra-e-nasab tum se
Top Urdushayar.com