Aziz Nabeel

main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
maiñ niiñd ke aivān meñ hairān thā kal shab
ik ḳhvāb mirī aañkh kā mehmān thā kal shab
kis ġham meñ bikharte rahe ākāsh pe taare
kyuuñ chāñd pareshān pareshān thā kal shab
har aan koī yaad chamaktī rahe dil meñ
har lamha koī shor thaa, tūfān thā kal shab
kyā jāniye kyā us kī nadāmat kā sabab thā
kyā jāniye kyuuñ maiñ bhī pashemān thā kal shab
Thahrī huī lagtī thī havā aur har ik shai
jaise ki badan vaqt kā be-jān thā kal shab
ik nuur sā phailā rahā us samt se is samt
jugnū mirī ummīd kī pahchān thā kal shab
phir sub.h-e-munavvar kī bashārat huī mujh ko
phir duur talak rāsta āsān thā kal shab
Top Urdushayar.com