Aziz Nabeel

hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
hayāt-o-kā.enāt par kitāb likh rahe the ham
jahāñ jahāñ savāb thā azaab likh rahe the ham
hamārī tishnagī kā ġham raqam thā mauj mauj par
samundaroñ ke jism par sarāb likh rahe the ham
savāl thā ki justujū aziim hai ki aarzū
so yuuñ huā ki umr bhar javāb likh rahe the ham
sulagte dasht, ret aur babūl the har ek sū
nagar nagar, galī galī gulāb likh rahe the ham
zamīn ruk ke chal paḌī, charāġh bujh ke jal ga.e
ki jab adhūre ḳhvāboñ kā hisāb likh rahe the ham
mujhe batānā zindagī vo kaun sī ghaḌī thī jab
ḳhud apne apne vāste azaab likh rahe the ham
chamak uThā har ek pal, mahak uThe qalam davāt
kisī ke naam dil kā intisāb likh rahe the ham
Top Urdushayar.com