zamīñ kī aañkh se manzar koī utārte haiñ
havā kā aks chalo ret par ubhārte haiñ
ḳhud apne hone kā inkār kar chuke haiñ ham
hamārī zindagī ab dūsre guzārte haiñ
tumhārī jiit kā tum ko yaqīn aa jaa.e
so ham tumhāre liye baar baar hārte haiñ
talāsh hai hameñ kuchh gum-shuda bahāroñ kī
guzar chuke haiñ jo mausam unheñ pukārte haiñ
chamak rahe haiñ mire ḳhema-e-suḳhan har-sū
harīf dekhiye shab-ḳhūn kaise mārte haiñ
ye kaisī hairateñ darpesh haiñ azīz-'nabīl'
zarā Thaharte haiñ āseb-e-jāñ utārte haiñ