Aziz Nabeel

jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976

jis taraf chāhūñ pahuñch jā.ūñ masāfat kaisī

maiñ to āvāz huuñ āvāz hijrat kaisī

sunñe vāloñ samā.at ga.ī goyā.ī bhī

qissa-go ne sunā.ī thī hikāyat kaisī

ham junūñ vaale haiñ ham se kabhī pūchho pyāre

dasht kahte haiñ kise dasht vahshat kaisī

aap ke ḳhauf se kuchh haath baḌhe haiñ lekin

dast-e-majbūr sahmī huī bai.at kaisī

phir na.e saal sarhad pe khaḌe haiñ ham log

raakh ho jā.egā ye saal bhī hairat kaisī

aur kuchh zaḳhm mire dil ke havāle mirī jaañ

ye mohabbat hai mohabbat meñ shikāyat kaisī

maiñ kisī aañkh se chhalkā huā aañsū huuñ 'nabīl'

merī tā.īd kyā merī baġhāvat kaisī

Top Urdushayar.com