kuchh der to duniyā mire pahlū meñ khaḌī thī
phir tiir banī aur kaleje meñ gaḌī thī
ā.ankhoñ kī fasīloñ se lahū phuuT rahā thā
ḳhvāboñ ke jazīre meñ koī laash paḌī thī
sab rañg nikal aa.e the tasvīr se bāhar
tasvīr vahī jo mire chehre pe juḌī thī
maiñ chāñd hathelī pe liye jhuum rahā thā
aur TūTte tāroñ kī har ik samt jhaḌī thī
alfāz kisī saa.e meñ dam lene lage the
āvāz ke sahrā meñ abhī dhuup kaḌī thī
phir maiñ ne use pyaar kiyā dil meñ utārā
vo shakl jo kamre meñ zamāne se paḌī thī
har shaḳhs ke hāthoñ meñ thā ḳhud us kā garebāñ
ik aag thī sāñsoñ meñ aziyyat kī ghaḌī thī