Aziz Nabeel

main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
maiñ dastaras se tumhārī nikal bhī saktā huuñ
ye soch lo ki maiñ rasta badal bhī saktā huuñ
tumhāre baad ye jaanā ki maiñ jo patthar thā
tumhāre baad kisī dam pighal bhī saktā huuñ
qalam hai haath meñ kirdār bhī mire bas meñ
agar maiñ chāhūñ kahānī badal bhī saktā huuñ
mirī sirisht meñ vaise to ḳhushk dariyā hai
agar pukār le sahrā ubal bhī saktā huuñ
use kaho ki gurezāñ na yuuñ rahe mujh se
maiñ ehtiyāt kī bārish meñ jal bhī saktā huuñ
Top Urdushayar.com