Aziz Nabeel

agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the
ḳhayāl sher meñ Dhalte hue jhijak rahe the
koī javāb na sūraj meñ thā na chāñd ke paas
mire savāl sar-e-āsmāñ chamak rahe the
na jaane kis ke qadam chūmne kī hasrat meñ
tamām rāste dil kī tarah dhaḌak rahe the
kisī se zehn jo miltā to guftugū karte
hujūm-e-shahr meñ tanhā the ham, bhaTak rahe the
ye us ne dekhā thā ik raqs-e-nā-tamām ke ba.ad
vufūr-e-shauq meñ kaun-o-makāñ thirak rahe the
kitāb-e-umr-e-guzishta ke hāshiyoñ meñ 'nabīl'
vo shor thā ki zamīñ āsmāñ dhamak rahe the
Top Urdushayar.com