phal hai us but kī āshnā.ī kā
mujh ko da.avā hai ab ḳhudā.ī kā
na laḌāo nazar raqīboñ se
kaam achchhā nahīñ laḌā.ī kā
āsmāñ par nahīñ hilāl numūd
na.al hai terī zerpā.ī kā
gul meñ thī is qadar kahāñ surḳhī
aks hai panja-e-hinā.ī kā
kis sitamgar se tū ne ai kāfir
tarz sīkhā hai dilrubā.ī kā
chādar-e-āsmān hāzir ho
tū jo astar kare razā.ī kā
vaqt kyā aa gayā hai sad-afsos
bhaa.ī dushman huā hai bhaa.ī kā
go barahman pisar vo qātil hai
dil milā hai magar qasā.ī kā
kuchh mirā hī nahīñ vo but ma.abūd
ba-ḳhudā hai ḳhudā ḳhudā.ī kā
'sehr' kyā us ne kar diyā jaadū
mujh ko da.avā thā pārsā.ī kā