Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

dil tang usMein ranj-o-alam shor-o-shar hon jama

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

dil tañg us meñ rañj-o-alam shor-o-shar hoñ jam.a
chain aa.e ḳhaak ghar meñ jab itne zarar hoñ jam.a
dil meñ jo farq Daal diyā hai raqīb ne
ho jaa.e bar-taraf kahīñ ham tum agar hoñ jam.a
jis ne kiyā hai qatl vahī aa.e na.ash par
kyā fā.eda hai yuuñ jo hazāroñ bashar hoñ jam.a
aa.e na kaam ek bhī be-yārī-e-nasīb
go zaat meñ kisī ke hazāroñ hunar hoñ jam.a
jaatā hai yaar māñgeñ nishānī to kis tarah
apne kahīñ havās bhī vaqt-e-safar hoñ jam.a
likkhī ġhazal to ḳhuub magar ye zarūr hai
paḌhnā tab is ko 'sehr' jab ahl-e-hunar hoñ jam.a
Top Urdushayar.com