zīnat-e-unvāñ hai mazmūñ ālam-e-tauhīd kā
matla-e-dīvāñ na kyuuñ matl.a bane ḳhurshīd kā
ye savād-e-nāma hai yā surma-e-tasḳhīr hai
hai bayāz-e-saf.ha yā hai nuur sub.h-e-īd kā
dair meñ hai vo na hai ka.abe meñ aur hai sab kahīñ
tālib-e-nazzāra ko gar ho salīqa diid kā
ho jo us ke naam par āġhāz puurā ho vo kaam
hai bar-ārinda vahī har shaḳhs kī ummīd kā
jo milā us se use kahtā hai aalam mar gayā
naam murda rakh diyā hai zinda-e-jāved kā
lan-tarānī hī rahī us shoḳh ko ushshāq se
hausla paidā na kis kis ko huā go diid kā
taaza mazmūñ 'sehr' apnī tab-e-mauzūñ se nikāl
ho na tū tarz-e-suḳhan meñ āshnā taqlīd kā