Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

ijad gham hua dil-e-muztar ke waste

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

ījād ġham huā dil-e-muztar ke vāste
paidā junūñ huā hai mire sar ke vāste
karte ho fikr ġhāfilo kyā ghar ke vāste
duniyā meñ sab muqīm haiñ dam bhar ke vāste
har shai meñ jo ki dekhte haiñ jalva dost kā
vo log sajda karte haiñ patthar ke vāste
us but ne ek baat na maanī shab-e-visāl
lākhoñ diye ḳhudā o payambar ke vāste
sun kar payām-e-vasl maiñ qāsid se jī uThā
hai mo.ajaza zarūr payambar ke vāste
mizhgāñ ko terī ham ne jagah apne dil meñ dī
zebā ye myaan hai isī ḳhanjar ke vāste
likhtā huuñ us parī kī sifat chashm-e-shoḳh kī
tār-e-nigāh-e-hūr ho mistar ke vāste
bālish kī jā hai mujh ko tirā sañg-e-āstāñ
kaafī hai ḳhāk-e-dar mare bistar ke vāste
jaatā huuñ chiin kākul-e-ambar-fishāñ ko maiñ
saudā ḳharīdtā hai mujhe sar ke vāste
jitne the zulm sab vo jafā-kār kar chukā
baaqī rahe na charḳh-e-sitamgar ke vāste
kartā huuñ roz-e-hijr maiñ tadbīreñ dosto
kyā kyā tasallī-e-dil-e-muztar ke vāste
saaqī sharāb-e-ashk hai yaañ jām-e-chashm meñ
ehsān uThā.eñ kyuuñ mai o sāġhar ke vāste
ai 'sehr' qadr-dāñ jo na ho koī sher kā
to zindagī hai maut suḳhnavar ke vāste
Top Urdushayar.com