sub.ha se matlab na kuchh zunnār se
haiñ judā ham kāfir o dīñ-dār se
ishq hai us abru-e-ḳhamdār se
kāTūñgā ik din galā talvār se
dil mirā aTkā hai chashm-e-yār se
hai mohabbat mardum-e-bīmār se
yuuñ evaz luuñ jī meñ hai aġhyār se
ghar jalā duuñ āh-e-ātish-bār se
haiñ ayaañ kuchh ishq ke āsār se
sho.ale uThte haiñ dil-afgār se
kyuuñ na dil apnā nazār-o-zār ho
kuchh nazar aate ho tum bezār se
rashk se dil meñ na kyuuñ jal jaa.e sham.a
lau nikaltī hai tire ruḳhsār se
hijr meñ ho kyuuñ na lazzat vasl kī
hai mazā inkār meñ iqrār se
kūcha-e-kākul meñ kho kar naqd-e-dil
mol saudā laa.e ham bāzār se
jhāñke rauzan se jo tujh ko raḳhna-gar
phoḌ Dālūñ sar ko maiñ dīvār se
jaan aafat meñ paḌī hai ai tabīb
maut behtar hijr ke āzār se
har qadam par shor-e-mahshar hai bapā
piste haiñ dil aap kī raftār se
ḳhizr lā kar deñ agar āb-e-baqā
maiñ na badlūñ sharbat-e-dīdār se
teġh-e-abrū kā jo bosa de to de
varna zālim qatl kar talvār se
ḳhil.at-e-uryānī aur jāgīr-e-dasht
ham ne paayā ishq kī sarkār se
sarv ke chehra kamar siina kahāñ
is ko kyā tashbīh qadd-e-yār se
hijr meñ jañgal se hai gulshan sivā
gul bhī mujh ko kam nahīñ haiñ ḳhaar se
jā-e-āsā.ish nahīñ hai dūsrī
baḌh ke tere sāya-e-dīvār se
roz tanhā.ī meñ rahtī hai yahāñ
guftugū pahroñ ḳhayāl-e-yār se
zulf-o-āriz chashm-o-abrū ḳhāl-o-ḳhat
dil nahīñ bachtā inhīñ do-chār se
bosa ab qand-e-mukarrar ho gayā
duunī lazzat ho ga.ī takrār se
shart meñ bosoñ kī bhī kiyā lutf hai
jiit meñ kam-tar mazā hai haar se
ek gul-rū par huā dil daaġh daaġh
phuul laa.e aaj ham gulzār se
koī mai-kash phir na baiThā ek dam
maiñ jo uThThā ḳhāna-e-ḳhummār se
bulbuleñ us rashk-e-gul ke hijr meñ
nochtī haiñ apne par minqār se
'sehr' bhejeñge ġhazal ye yaar ko
shauq hai us ko mire ash.ār se