sar milā hai ishq kā saudā samāne ke liye
āñkheñ diiñ insān ko aañsū bahāne ke liye
us kā hañsnā yaad aatā hai rulāne ke liye
kuchh bahāna chāhiye aañsū bahāne ke liye
koī zāhid ban gayā hai koī vaa.iz ban gayā
kaise kaise svāñg haiñ roTī kamāne ke liye
naqd-e-dil ko vārte haiñ ham lab-e-pāñ-ḳhurda par
nazr laa.e haiñ tumhāre paan khāne ke liye
mujh pe hai chashm-e-itāb auroñ pe shafqat kī nazar
mujh ko izrā.īl iisā ho zamāne ke liye
ka.aba-e-ummīd kī ta.azīm vājib thī zarūr
ham ne bose 'sehr' us ke āstāne ke liye