kaheñ kyā ki kyā kyā sitam dekhte haiñ
likhā hai jo qismat meñ ham dekhte haiñ
kabhī aah na.ara kabhī khīñchte haiñ
ham is saaz kā zer-o-bam dekhte haiñ
ḳhat-e-sar-navisht apnā ham paḌh rahe haiñ
tumhārā jo naqsh-e-qadam dekhte haiñ
mire rū-ba-rū vo baham ġhair se haiñ
na dekhe koī jo ki ham dekhte haiñ
rahī gar talāsh-e-kamar yuuñ hī ham ko
koī dam meñ mulk-e-adam dekhte haiñ
hazāroñ gumāñ dil meñ hote haiñ paidā
tire haath meñ jab qalam dekhte haiñ
nahīñ jaanā kis din tū ġhairoñ ke ghar par
sarīhan to āñkhoñ se ham dekhte haiñ
nahīñ aarzū kuchh bhī bose kī ham ko
magar ham tumhārā karam dekhte haiñ
jo aalam ki dekhā hai kū-e-butāñ meñ
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ kam dekhte haiñ
nazar aate ho 'sehr' āshiq kisī par
tumheñ har ghaḌī chashm-e-nam dekhte haiñ