ham apne-āp kī pahchān le ke aa.e haiñ
na.e suḳhan na.e imkān le ke aa.e haiñ
havā ne vaar kiyā to javāb pā.egī
ki ham charāġh bhī tūfān le ke aa.e haiñ
charāġh-e-qurb se kar dījiye unheñ raushan
bujhe bujhe se kuchh armān le ke aa.e haiñ
javāb de na sakegā hamārī bātoñ kā
ki aap aa.ina hairān le ke aa.e haiñ
in āñsuoñ kā koī qadr-dān mil jaa.e
ki ham bhī 'mīr' kā dīvān le ke aa.e haiñ
hamāre paas faqat dhuup hai ḳhayāloñ kī
jhulaste ḳhvāboñ kī dukkān le ke aa.e haiñ
ye zaḳhm-e-dil nahīñ ehsān kī nishānī hai
ham us nigāh kā ehsān le ke aa.e haiñ
jo pārsā ho to kyuuñ imtihāñ se Darte ho
ham e'tibār kā mīzān le ke aa.e haiñ
unhīñ pe saare masā.ib kā bojh rakkhā hai
jo tere shahr meñ īmān le ke aa.e haiñ