ik makāñ aur bulandī pe banāne na diyā
ham ko parvāz kā mauqa.a hī havā ne na diyā
tū ḳhudā ban ke miTā.egā hameñ hī ik din
sar tire dar pe isī Dar ne jhukāne na diyā
muttahid hone kā jazba thā sabhī meñ lekin
muttahid hone kā mauqa hī havā ne na diyā
tum pe chhā jaate shajar bante jo nanhe paude
tum ne achchhā hī kiyā paañv jamāne na diyā
vo to āmāda thā bandoñ kī shikāyat sun kar
kuchh farishtoñ ne zamīñ par use aane na diyā
aap Darte haiñ ki khul jaa.e na aslī chehra
is liye shahr ko ā.īna banāne na diyā