Manzar Bhopali

sitamgaron ke sitam ki uDan kuchh kam hai

Manzar Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1959
sitamgaroñ ke sitam kī uḌaan kuchh kam hai
abhī zamīñ ke liye āsmān kuchh kam hai
jo is ḳhayāl ko bhūle to maare jāoge
ki apnī samt qayāmat kā dhyān kuchh kam hai
hamāre shahr meñ sab ḳhair-o-āfiyat hai magar
yahī kamī hai ki amn-o-amān kuchh kam hai
banā rahā hai falak bhī azaab mere liye
terī zamīn pe kyā imtihān kuchh kam hai
abhī shumār ke qābil haiñ zaḳhm-e-dil mere
abhī vo dushman-e-jāñ mehrbān kuchh kam hai
idhar to dard kā pyāla chhalakne vaalā hai
magar vo kahte haiñ ye dāstān kuchh kam hai
havā-e-vaqt zarā pairahan kī ḳhair manā
ye mat samajh ki parindoñ meñ jaan kuchh kam hai
Top Urdushayar.com