koī bachne kā nahīñ sab kā patā jāntī hai
kis taraf aag lagānā hai havā jāntī hai
ujle kapḌoñ meñ raho yā ki naqābeñ Daalo
tum ko har rañg meñ ye ḳhalq-e-ḳhudā jāntī hai
rok pā.egī na zanjīr na dīvār koī
apnī manzil kā pata āh-e-rasā jāntī hai
TuuT jā.ūñgā bikhar jā.ūñgā hārūñgā nahīñ
merī himmat ko zamāne kī havā jāntī hai
aap sach bol rahe haiñ to pashemāñ kyuuñ haiñ
ye vo duniyā hai jo achchhoñ ko burā jāntī hai
āñdhiyāñ zor dikhā.eñ bhī to kyā hotā hai
gul khilāne kā hunar bād-e-sabā jāntī hai
aañkh vaale nahīñ pahchānte us ko 'manzar'
jitne nazdīk se phūloñ kī adā jāntī hai