Manzar Bhopali

sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha

Manzar Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1959
sahar ne andhī galī kī taraf nahīñ dekhā
jise talab thī usī kī taraf nahīñ dekhā
qalaq thā sab ko samundar kī be-qarārī kā
kisī ne muḌ ke nadī kī taraf nahīñ dekhā
kachoke ke detī rahīñ ġhurbateñ mujhe lekin
mirī anā ne kisī kī taraf nahīñ dekhā
safar ke biich ye kaisā badal gayā mausam
ki phir kisī ne kisī kī taraf nahīñ dekhā
tamām umr gizārī ḳhayāl meñ jis ke
tamām umr usī kī taraf nahīñ dekhā
yazīdiyat kā añdherā thā saare kuufe meñ
kisī ne sibt-e-nabī kī taraf nahīñ dekhā
jo ā.īne se milā ā.īne pe jhunjhlāyā
kisī ne apnī kamī kī taraf nahīñ dekhā
mizāj-e-īd bhī samjhā tujhe bhī pahchānā
bas ek apne hī jī kī taraf nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com