aañkh bhar aa.ī kisī se jo mulāqāt huī
ḳhushk mausam thā magar TuuT ke barsāt huī
din bhī Duubā ki nahīñ ye mujhe ma.alūm nahīñ
jis jagah bujh ga.e āñkhoñ ke diye raat huī
koī hasrat koī armāñ koī ḳhvāhish hī na thī
aise aalam meñ mirī ḳhud se mulāqāt huī
ho gayā apne paḌosī kā paḌosī dushman
ādamiyyat bhī yahāñ nazr-e-fasādāt huī
isī honī ko to qismat kā likhā kahte haiñ
jītne kā jahāñ mauqa.a thā vahīñ maat huī
is tarah guzrā hai bachpan ki khilaune na mile
aur javānī meñ buḌhāpe se mulāqāt huī