hamāre dil pe jo zaḳhmoñ kā baab likkhā hai
isī meñ vaqt kā saarā hisāb likkhā hai
kuchh aur kaam to ham se na ho sakā lekin
tumhāre hijr kā ik ik azaab likkhā hai
sulūk nashtaroñ jaisā na kījiye ham se
hamesha aap ko ham ne gulāb likkhā hai
tire vajūd ko mahsūs umr bhar hogā
tire laboñ pe jo ham ne javāb likkhā hai
huā fasād to is meñ nahīñ kisī kā qusūr
havā-e-shahr ne mausam ḳharāb likkhā hai
agar yaqīn nahīñ to uThā.iye tārīḳh
hamārā naam ba-sad-āb-o-tāb likkhā hai