Manzar Bhopali

watan-nasib kahan apni qismaten hongi

Manzar Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1959
vatan-nasīb kahāñ apnī qismateñ hoñgī
jahāñ bhī jā.eñge ham saath hijrateñ hoñgī
kabhī to sāhib-e-dīvār-o-dar baneñge ham
kabhī to sar pe hamāre na.ī chhateñ hoñgī
ye ashk tere mire rā.egāñ na jā.eñge
unhīñ charāġhoñ se raushan mohabbateñ hoñgī
tirī adā meñ hai inkār bhī ijāzat bhī
jo ham mileñge to duurī na qurbateñ hoñgī
amal durust kareñ apne rahnumā.e-kirām
kahūñgā saaf to sab ko shikāyateñ hoñgī
ham un ke sāmne sach bolne ke mujrim haiñ
hamīñ pe vaqt kī saarī ināyateñ hoñgī
hameñ to apne masā.il kā hal bhī hai darkār
tumhāre paas to ḳhālī bashārateñ hoñgī
vahāñ pe qāfile bhaTkeñge tai hai ye 'manzar'
jahāñ usuul se ḳhālī qayādateñ hoñgī
abhī to qaid haiñ jazboñ kī āñdhiyāñ dil meñ
hamārā sabr jo toḌā qayāmateñ hoñgī
Top Urdushayar.com