is ko pahlī baar ḳhat likkhā to dil dhaḌkā bahut
kyā javāb aa.egā kaise aa.egā Dar thā bahut
jaan de deñge agar duniyā ne rokā rāsta
aur koī hal na niklā ham ne to sochā bahut
ab samajh lete haiñ mīThe lafz kī kaḌvāhaTeñ
ho gayā hai zindagī kā tajraba thoḌā bahut
soch lo pahle hamāre haath meñ phir haath do
ishq vāloñ ke liye haiñ aag ke dariyā bahut
vo thī āñgan meñ paḌosī ke maiñ ghar kī chhat pe thā
dūriyoñ ne aaj bhī donoñ ko taḌpāyā bahut
is se pahle to kabhī ehsās hotā hī na thā
tujh se mil kar sochte haiñ ro liye tanhā bahut
aañkh hotī to nazar aa jaate chhāle paañv ke
sach ko kyā dekhegā apnā shahr hai andhā bahut