masrūf ham bhī anjuman-ārā.iyoñ meñ the
ghar jal rahā thā log tamāshā.iyoñ meñ the
kitnī jarāhateñ pas-e-ehsās-e-dard thiiñ
kitne hī zaḳhm ruuh kī gahrā.iyoñ meñ the
kuchh ḳhvāb the jo ek se manzar kā aks the!
kuchh shobade bhī us kī masīhā.iyoñ meñ the
taptī zamīñ pe uḌte bagūloñ kā raqs thā
saat āsmān qahr kī purvā.iyoñ meñ the
is tarah ḳhair o shar meñ kabhī ran paḌā na thā
kitne hī hādse mirī paspā.iyoñ meñ the
ḳhilqat pe sādgī kā maiñ ilzām kyā dharūñ
jitne shigāf the mirī dānā.iyoñ meñ the
āshob-e-zāt se nikal aayā thā ik jahāñ
ham qaid apnī qāfiya-paimā.iyoñ meñ the