Asrar Zaidi

yun paband-e-salasil ho kar kaun phire bazaron mein

Asrar Zaidi

yuuñ pāband-e-salāsil ho kar kaun phire bāzāroñ meñ
ḳhud hī qaid na ho jaa.eñ kyuuñ apnī hī dīvāroñ meñ
raat ke lamhoñ kī sañgīnī dil ko Dastī rahtī hai
jism sulagtā rahtā hai tanhā.ī ke añgāroñ meñ
raushniyoñ ke shahr añdheroñ ke jaadū meñ Duub ga.e
bujhne lagī ho nuur kī mash.al jaise chāñd-sitāroñ meñ
dard ke tapte sahrā meñ ik ābla-pā sar-gardāñ hai
tum ko kyā tum jashn manāo ḳhushiyoñ ke gahvāroñ meñ
maiñ koī suqrāt na thā jo zahr kā pyāla pī jaatā
maiñ ḳhud kaise Duub sakūñgā apne lahū kī dhāroñ meñ
shahr kī rāheñ raqs-kunāñ haiñ rañg fazā meñ bikhrā hai
kitne chehre saje hue haiñ in chamkīlī caroñ meñ
Top Urdushayar.com