barahnagī kā mudāvā koī libās na thā
ḳhud apne zahr kā tiryāq mere paas na thā
sulag rahā huuñ ḳhud apnī hī aag meñ kab se
ye mashġhala to mire dard kī asaas na thā
tirī navāzish-e-paiham ke naqsh dil meñ rahe
maiñ be-ḳhabar sahī par aisā nā-sipās na thā
har ek sher thā merā mire ḳhayāl kā aks
koī kitāb na thī koī iqtibās na thā
bikhar ga.e the so ḳhud ko sameT bhī lete
ki is yaqīn meñ shāmil mirā qayās na thā