khaḌā huuñ dhuup meñ saa.e kī justujū bhī nahīñ
ye kyā sitam hai ki ab terī aarzū bhī nahīñ
mujhe to aaj bhī tujh par yaqīn hai lekin
tire dayār meñ insāñ kī aabrū bhī nahīñ
abhī to mai-kada vīrāñ dikhā.ī detā hai
abhī to vajd meñ paimāna-o-subū bhī nahīñ
tirī nigāh meñ chāhat kahāñ talāsh karūñ
tirī sarisht meñ shāyad vafā kī ḳhū bhī nahīñ
bas ik ta.alluq-e-ḳhātir kā paas hai varna
to ḳhūb-rū sahī par itnā ḳhūb-rū bhī nahīñ
chamak uThe na tire ruḳh pe dāġh-e-rusvā.ī
ye chaak vo hai ki sharminda-e-rafū bhī nahīñ
yaqīn jaan ki terā vajūd hai mujh se
ye maan le ki agar maiñ nahīñ to tū bhī nahīñ