baiThā huuñ apne gosha-e-uzlat meñ shaam se
ḳhat likh rahā huuñ us ko baḌe ehtimām se
māthe kī ye shikan kahīñ pahlū badal na le
tum ḳhud hī gir paḌho kahīñ apne maqām se
tarkash meñ koī tiir jo baaqī nahīñ to kyā
kah do ki haath khīñch liyā intiqām se
vo log jo ḳhudā ke ġhazab se Dare na the
tharrā uThe haiñ aaj magar tere naam se