bastī bastī ghor añdherā suunā suunā jaada thā
shab ke pichhle-pahar kā sannāTā kuchh aur ziyāda thā
sehn-e-chaman meñ ravish ravish par aas ke phuul ugaa.e the
lekin ye mahsūs huā har manzar pesh-uftāda thā
lafz koī aaseb na the log us kī sadā se kyuuñ Darte
vaqt ke andhe kuñ.eñ kā ye āshob to sīdhā-sāda thā
jiite jāgte phuul badan meñ kaise kaise rog lage
dil kā kyā hai dil to apne ḳhvāboñ kā shahzāda thā
maslihateñ aaḌe aa.eñ yā ahl-e-junūñ dil chhoḌ ga.e
jo honā hai aaj ho jaa.e dil is par āmāda thā