TuuTe hue peḌ gin rahā huuñ
maiñ apne paroñ ko dekhtā huuñ
lab-basta huuñ phir bhī boltā huuñ
yaar ḳhud se nabard-āzmā huuñ
bastī koī rah na jaa.e baaqī
dar dar pe sadā lagā chukā huuñ
hoñToñ pe sukūt ḳhāmushī hai
lamhoñ ke hisār meñ ghirā huuñ
raste haiñ tamām aTe aTe se
maiñ kaise kahūñ gurez-pā huuñ
ai nahr-e-furāt de gavāhī
pyāsoñ kā ḳhirāj māñgtā huuñ
shāyad koī shahsavār nikle
sahrā pe kamand Dāltā huuñ
ḳhud par yaqīn uTh chalā hai
ab raat Dhalī to so gayā huuñ