koī tasvīr yahāñ ā.ina-ḳhānoñ meñ nahīñ
ab hadaf kaun ho jab tiir kamānoñ meñ nahīñ
be-hisī jabr-e-musalsal kā natīja Thahrī
harf maslūb hue nutq zabānoñ meñ nahīñ
log kuchh itne haqīqat ke parastār hue
ya.anī vo shaḳhs nayā hai jo purānoñ meñ nahīñ
ham ki maazī bhī haiñ imroz bhī haiñ fardā bhī
ham sabhī kuchh haiñ magar qaid zamānoñ meñ nahīñ
shāḳh-dar-shāḳh tarāshī ga.iiñ rāheñ kitnī
par kushāda to hue rabt uḌānoñ meñ nahīñ
aisā āshob to pahle kabhī dekhā na sunā
bhiiḌ galiyoñ meñ hai log apne makānoñ meñ nahīñ
vo mohabbat hī mohabbat hai ye irfāñ bhī huā
us kā maskan to diloñ meñ hai chaTānoñ meñ nahīñ