tujh se baḌh kar nigah-e-lutf-o-atā kis kī thī
is kī ta.abīr magar mere ḳhudā kis kī thī
shahr ke shor meñ sahrāoñ ke sannāTe meñ
maiñ khaḌā soch rahā huuñ ki sadā kis kī thī
maiñ ne ḳhud apne lahū se ye chaman sīñchā thā
mujh se ab pūchh rahe ho ki ḳhatā kis kī thī
maiñ ki ā.īna thā phir sañg-e-malāmat kaisā
dil-e-ḳhūñ-gashta meñ tasvīr-e-butāñ kis kī thī
ab ḳhad-o-ḳhāl naqāboñ meñ nahīñ chhup sakte
jism ḳhud chīḳh uThegā ki qabā kis kī thī
apne lahje meñ koī rañg bharo yā na bharo
log pahchān ga.e tarz-e-adā kis kī thī