anjāne logoñ ko har sū chaltā phirtā dekh rahā huuñ
kaisī bhiiḌ hai phir bhī ḳhud ko tanhā tanhā dekh rahā huuñ
dīvāroñ se rauzan rauzan kyā kyā manzar ubhre haiñ
sūraj ko bhī duur ufuq par jaltā bujhtā dekh rahā huuñ
jis ko apnā ruup diyā aur jis ke har dam ḳhvāb bune
kab se maiñ us aane vaale kal kā rastā dekh rahā huuñ
sub.hoñ kī peshānī par ye kaisī siyāhī phailī hai
apnī anā ko har lamhe suulī par chaḌhtā dekh rahā huuñ
ā.īne meñ kyā dekhūñ jab har chehra ā.īna hai
us kā chehra dekh rahā huuñ apnā chehra dekh rahā huuñ