zabt-e-ulfat kā yahī ham ko silā mil jaa.e
dasht meñ aur koī ābla-pā mil jaa.e
āgahī aur ka.ī naqsh banā saktī hai
tum jo insān ko DhūñDo to ḳhudā mil jaa.e
yahī behtar hai ki ḳhud raah meñ gum ho jaa.eñ
is se pahle ki koī rāh-numā mil jaa.e
aao zanjīr kī jhankār pe ham raqs kareñ
kyā ta.ajjub jo yūñhī jins-e-vafā mil jaa.e
isī dhun meñ to ham āvāra phirā karte haiñ
kahīñ shāyad tire āñchal kī havā mil jaa.e
ab tirā dhyān hai yuuñ jaise añdherī shab meñ
ittifāqan koī miTTī kā diyā mil jaa.e