vo shaḳhs jo nazar aatā thā har kisī kī tarah
hisār toḌ ke niklā hai raushnī kī tarah
sadā meñ Dhal ke laboñ tak jo harf aayā thā
ab us kā zahr bhī Dastā hai ḳhāmushī kī tarah
ye saal tūl-e-masāfat se chuur chuur gayā
ye ek saal to guzrā hai ik sadī kī tarah
tumhī koī shajar-e-sāya-dār DhūñD rakho
ki vo to apne liye bhī hai ajnabī kī tarah
ye ahd TuuT rahā hai na.e ufuq ke liye
hayāt Daal chukī hai ḳhud-āgahī kī tarah