pahle to na thī itnī tab-o-tāb ġhazal meñ
kaam aa ga.ī ġham-ḳhvārī-e-ahbāb ġhazal meñ
dil par se tire ġham kā abhī abr chhaTā hai
chamkā hai tirī yaad kā mahtāb ġhazal meñ
yāroñ ko kisī taur bhī nashsha nahīñ hotā
jab tak ki na shāmil ho mai-e-nāb ġhazal meñ
jis se ḳhalish-e-dard kā āġhāz huā hai
raqsāñ hai vahī paikar-e-sīmāb ġhazal meñ
har misra-e-tar taḳhta-e-gulzār kī sūrat
rañgoñ kī hai ik vādī-e-shādāb ġhazal meñ
go dard ke iz.hār kī aadat to nahīñ thī
piinā hī paḌā ham ko ye zahr-āb ġhazal meñ
asnāf-e-suḳhan aur bhī ai dost bahut haiñ
rañgīñ hai mirī ziist kā har baab ġhazal meñ