dil-e-shikasta bhī thā koī rāzdāñ bhī na thā
vo mehrbāñ sahī par itnā mehrbāñ bhī na thā
rivāyatoñ ke tilismāt toḌ kar ye khulā
ġham-e-zamāna koī jaur-e-āsmāñ bhī na thā
muāmalāt ġham-e-dostī salāmat-bāsh
vo e'tibār ki andesha-e-gumāñ bhī na thā
zamāna-sāz kabhī taba-e-mah-ruḳhāñ bhī na thī
ki is mizāj kā andāz-e-dil-barāñ bhī na thā
mohabbatoñ ke qarīne badal ga.e āḳhir
maiñ is ke dar pe jo pahuñchā to pāsbāñ bhī na thā
tamām shahr pe taarī hai kaisā sannāTā
sukūt-e-sub.h meñ āvāza-e-azāñ bhī na thā