Asrar Zaidi

afsana-e-gham yun bhi dil-e-zar kaha hai

Asrar Zaidi

afsāna-e-ġham yuuñ bhī dil-e-zār kahā hai
ik baar jo pūchhā hai to sau baar kahā hai
jo baat tirī bazm meñ ham kah na sake the
us baat ko logoñ ne sar-e-dār kahā hai
mamnūn haiñ us shoḳh ke ai bād-e-sabā ham
phūloñ kī zabānī jo hameñ pyaar kahā hai
mumkin hai usī raah se manzil pe pahuñch jaa.eñ
dil vāloñ ne jis raah ko dushvār kahā hai
vo faḳhr-e-masīhā hai magar ahl-e-ḳhirad ne
hairat hai use nargis-e-bīmār kahā hai
arzāñ huī yuuñ jins-e-mohabbat ki jahāñ meñ
ham se tahī-dāmāñ ko ḳharīdār kahā hai
Top Urdushayar.com