be-sadā kyūñkar huā be-dast-o-pā kyūñkar huā
maiñ qafas meñ bhī na thā phir bhī rihā kyūñkar huā
āshnā jitne bhī the nā-āshnā kyūñkar hue
hādisa ye bhī huā kaise huā kyūñkar huā
sub.h kī pahlī kiran mehr-e-munavvar kab huī
har bagūla mauja-e-bād-e-sabā kyūñkar huā
bām-o-dar par jā-ba-jā parchhā.iyoñ ke aks the
ghar kā ye manzar bhī lekin ḳhushnumā kyūñkar huā
Dūbnā Thahrā to phir kachche ghaḌe kī shart kyā
vo sadā kā sañg-dil dard-āshnā kyūñkar huā
sho.abada-bāzī kahāñ kār-e-masīhā.ī huī
aadmī jab aadmī Thahrā ḳhudā kyūñkar huā
ḳhāmushī kitne hī jazboñ kā pata detī rahī
naala gar pāband-e-nai thā nā-rasā kyūñkar huā