tire iltifāt kī baat thī tirī be-ruḳhī ke gile na the
tujhe shāyad us kī ḳhabar to ho ki hamāre hoñT sile na the
kisī ahl-e-dard se pochhiye zarā is chaman kā mo.āmla
vo chaman ki fasl-e-bahār meñ bhī jahāñ pe phuul khile na the
ye rah-e-talab kī masāfateñ kahīñ ḳhaar hai kahīñ daar hai
sar-e-kū-e-yār khaḌe the yuuñ ki qadam hamāre hile na the
bhalā arz-e-ġham se guzar ke bhī kabhī tum se koī gila kiyā
ye junūn-e-ishq ke tazkire to mirī vafā ke sile na the
jo adū ko bazm huī to kyā vo kuchh is tarah haiñ gurez-pā
kisī raah meñ kisī moḌ par kabhī jaise ham se mile na the