sāġhar-o-jām ko chhalkāo ki kuchh raat kaTe
jaam ko jaam se Takrāo ki kuchh raat kaTe
khaa.e jaatī hai ye tanhā.ī ye tārīki-e-shab
do ghaḌī ke liye aa jaao ki kuchh raat kaTe
chup tumhārī mujhe dīvāna banā detī hai
aaj lillāh na sharmāo ki kuchh raat kaTe
haañ ye va.ada rahā ab phir nahīñ rokeñge kabhī
aaj kuchh der Thahar jaao ki kuchh raat kaTe
sāz-o-naġhma hī sahī haañ mai-o-mīnā hī sahī
sāqiyā jaam hī bhar laao ki kuchh raat kaTe
ai 'zakī' hijr kī rāteñ nahīñ kaaTe kaTtīñ
koī achchhī sī ġhazal gaao ki kuchh raat kaTe