tire nāz-o-adā ko tere dīvāne samajhte haiñ
haqīqat sham.a kī kyā hai ye parvāne samajhte haiñ
mukammal vārdāteñ haiñ mire guzre zamāne kī
haqā.eq se jo nā-vāqif haiñ afsāne samajhte haiñ
junūñ ke kaif-o-kam se āgahī tujh ko nahīñ nāseh
guzartī hai jo dīvānoñ pe dīvāne samajhte haiñ
tirī maḳhmūr āñkhoñ ko koī kuchh bhī kahe lekin
ham un ko sāqī-e-daurāñ ke paimāne samajhte haiñ
na raas ā.eñgī mujh ko ai jahāñ ābādiyāñ terī
mire dil kī lagī ko tere vīrāne samajhte haiñ
na kuchh ahl-e-junūñ samjhe na kuchh ahl-e-ḳhirad samjhe
rumūz-e-zindagī kuchh phir bhī mastāne samajhte haiñ
'zakī' apnoñ ne to ham ko hamesha hī satāyā hai
haqīqat kuchh hamārī phir bhī be-gāne samajhte haiñ